Astrological Signs – Samooche Zodiac ya rashichakra me baarah jyotish rashiyan hai. pratyek rashi ka failaav 30 degree hote huey zodiac ya rashi chakra ka poora span 360 degree banta hai. pratyek rashi jo 30 degree ki hai, unme bhi aage vibhajan hai jo sava do nakshatron se banta hai jinka 13 degree 20 minute prati nakshatra ka apna failaav hai.
Jyotish mandal me aise 27 nakshatra hain. Ye sava do nakshatra antriksh me un jyotish rashiyon ka roop banaate hain jinhe ham nangi aankhon se aakashmandal me dekh sakte hain. In rashiyon ke naam nakshatron ke dwara banaayi gayi aakritiyon ke anuroop he rakha gaya hai jaise – Mesh (bheda) Vrish (bail) aadi.
Ye poora brahmaand paanch tatvon se bana hai jinhe panch mahabhhot kaha gaya hai. Ye hain prithvi, jal, agni, vaayu or akaash. Ham maanav bhi inhi paanch tatvon se bane hain or in rashiyon ka bhi apna apna tatv hai.
Sirf tatv hi nahi jyotish me har rashi (astrological signs) ka apna ling hota hai jaise stree ya purush rashi, apna swabhaav hota hai jaise sthir ya char rashi, din or raat ka bal hota hai (divaa bali – ratri bali), apni disha hoti hai, rahne ki jagah hoti hai, rashi ke uthne ka style hota hai tatha inke pad bhi hote hain jaise chaar pairon ya do pairon vaali rashi.
Astrological signs ka jivan se sambandh
Ab aap poochhenge ki rashi ke baare me kahi gayi in cheezon ka hamare jivan se kya sambandh hai? Hamare jivan se in baaton ka bada gahara sambandh hai. Jyotish me Chandrama ko sabse important maana gaya hai kyunki chandrama man ka hamaari soch ka kaarak hai. Isliye jis rashi me bhi chandrama sthit hoga us rashi ka tatha uske swami ka hamaari soch, buddhi va chintashakti par poora prabhav hoga. Rashi se sambandhit ye sabhi baaten hamaari soch or manasik jhukaav ko prabhavit karengi.
Yahi baarah rashiyan (astrological signs) milkar param antriksh kaalpurush ka poora shari bhi banaati hain. Mesh se Meen tak yahi rashiyan kaalpurush ke sir se pair tak sharir ko samaavisht karti hai. Isiliye kundli me uday lagna tatha har bhaav ko kaalpurush kundli se milaaye bagair kundli vishleshan poorn nahi ho sakta.
Janm ke samay jo rashi poorv kshitij me uday ho rahi thi vahi rashi janm kundli ka uday lagn ya pratham bhav banti hai. Shesh gyarah rashiyan (astrological signs) anticlockwise lag kar kundli ka nirmaan karti hain. ye rashiyaan jin bhavon me sthit ho, jo graha inme hon, ya jo graha inhe drishti de rahe hon ye sab cheezen milkar faisla karti hai ki is duniya me ham kis prakar ka jivan bhogne aayen hain.
Neeche diye gaye links me in baarah jyotish raashiyon (astrological signs) ke main visheshtaaon ka varnan diya gaya hai. Har link ek rashi ka hai jise click karke aap us rashi ke baare me jaan skate hain. Jyaasa detailed vykatigat vishleshan ke ilye sampoorn kundli ka gahan adhyayan karna padta hai jisse grahon ki yuti, unki drishti, raashiyon me placement aadi ki poori study karni padti hai.
![]() | ![]() | ![]() | |
![]() | ![]() | ![]() | ![]() |
![]() | ![]() |
Join the Discussion!