Capricorn Makara rashi – Rashichakr ki dasvin rashi Capricorn Makara rashi hai jo kaalpurush kundli ka karm bhav bhi hai. Makar rashi ke swami Shani hain jisme dhairya, sabr or sthirta tatha dheemi magar atal unnati ke gun hain. Makar rashi ke jatak moulik, neetigya or dhridh-sankalpi hote hain.
Caprocorn Makara rashi ke jatakon ki yaaddaasht lambi hoti hai or ye log kayi kaam ek saath karne me saksham hote hain. Makar rashi ke jatak udyami to hote hain par kucch aalsi bhi hote hain jo samjhane or salaah dene par bahut mehnat karte hain.
Rashi ki jab baat karte hain to iska matlab hai ki aapki janm kundli me jahan par bhi chandrma ya Moon sthit hota hai vo bhav rashi kahlaati hai. Is tarah kumbh rashi ka matlab jis kundli me bhi chandrma kumbh rashi me ho to vo jatak kumbh rashi ka jatak kahlayega.
Jyotish me har rashi ka :
- Apna svabhav hota hai jaise Sthir rashi, Char rashi aadi.
- Apna ling hota hai stree, purush aadi
- Apna tatv hota hai jaise agni, vayu aadi.
- Din raat ka bal hota hai jaise diva bali, ratri bali aadi.
- Apni disha hoti hai jaise uttar, dakshin aadi.
- Rahne ki jagah hoti hai.
- Rashi ke uthne ka andaaj hota hai jaise sir se uthne vaali, back se uthne vaali aadi.
- Inke pad bhi hote hain jaise chaar pairon vali, do pairon vali aadi.
Rashi ki in uprokt baaton ka hamare jivan se kya sambandh hai?
Jyotish me chandrma ko sabse mahatvpoorn mana gaya hai kyunki shastr kahte hain chandrma manassohatah yani chandrma man ka kaarak hai. Hamari soch, emotions, chintashakti sab Chandr se prabhavit hai. Isiliye jis rashi me chandrma hoga us rashi ka tatha us rashi ke swami ka asar hamati soch, buddhi va chintashakti par hoga.
Chadrma choonki rashish hote hue man mastishk ka kaarak hai to uprokt cheejen hamari pasand, napasand, hamara manasik jhukav evam kary karne ke tareekon ko prabhavit karti hai.
Capricorn Makara rashi ke logon ki kucch khaas visheshtayen:-
Caprocorn Makara rashi ke log ambitious hote hain. Ye log apne uddeshya ki safalta ke liye sabr rakhna bhi jaante hain. Is rashi ke log ghoomne ke bade shokeen hote hain or kisi na kisi prakar ghoomte firte rahte hain. Makar ke jatak imaandaari ke liye prayasrat rahte hain or kalpnaon ko pasand nahi karte.
Apne strong will or nishchal prakriti ki vajah se kayi baar ye apni bhaavnaon ko poori tarah se prakat nahi kar pate jo fir inke vishaad ya depression ka kaaran ban jata hai. Agar kundli me is rashi par dushprabhav ho to nakaratmak roop me ye jatak pratishodhi, dhoort, kroor, sakht, karkash or nirdayi bhi ho skate hain.
Rishton me Caprocorn Makara rashi ke log bahut snehi to hote hain magar saath hi shakki, svarthi or avishvasi bhi ho skate hain. Is rashi ke adarsh jode ki baat karen to Vrishabh, Kanya or Tula rashi ke jatak inke adarsh saathi hote hain.
Yeh bhi padhen: Taurus Vrishabha – अनूठे धैर्य, सहनशक्ति और स्थिरता की राशी वृषभ
Ya ye padhen: Virgo Kanya rashi – कन्या राशी स्त्री जातक के लिए उत्तम क्यों मानी जाती है?
Ya fir ye: Libra Tula rashi in Hindi – तुला राशी के sign में तराजू किसलिये ?
Shastron me Caprocorn Makara rashi ka varn shyam, lamba dubla or akda badan, patla chehra, unnat naak va kaan, patli kamar, ghanisht haath va per, kaale baal or amooman sharir ka nichla ang kamjor bataya hai. Is varnan ka matlab ye nahi ki is rashi ke jatak aise hi honge, overall aisi personality rahegi saath hi lagn or anya grahon ki drishti ya yuti vagera anya cheejen milkar poori personality tay karti hain.
Caprocorn Makara ek char rashi, stree rashi tatha prithvi tatv ki rashi hai. Ye ek peeche se uthne vaali rashi hai jise “Prishthoday rashi” kahte hain tatha jo rati me balvan, dakshin disha ki, jungle or prithvi se samabandhit gahre keechad me rahne vali rashi hai. Is rashi ka agr ya pratham bhag chatushpad (char peron vali) or dwiteey ya prishth bhag bina per jal me terne vali jalchar hai. Mangal ya Mars is rashi me ucch ke hote hain.
Read Also: Navagraha Mars – नवग्रहों में सेनाधिपति और पराक्रम के ग्रह मंगल
Jaisa upar kaha hai Caprocorn Makara rashi ke swami Shani hain jisme dhairya, sabr or sthirta tatha dheemi magar atal unnati ke gun hain. Makar rashi ka chihn ek bakri hai jiska nichla hissa magarmacch ka hai jo jalchar hai. Is rashi ka upari hissa jo bakri ka lagaya gaya hai, vo is rashi ki gatisheelta ko dikhata hai jo Shani ke “mand” ya dheemi gati ke vipreet hai. Magarmacch ka hissa Shani ke dhairy or sabr ko tatha bakri ka hissa is rashi ki hath-dharmita ko dikhata hai.
Join the Discussion!