Karma bhav – Kundli ka sabse sakriy or important bhava hai Karma bhav 10th house. Ye bhav hamare samast karmon ka bhav hai. Jivan me janm se mrityu tak ham karm karte rahte hain q ki karm karte rahna hi jivan hai or akarmanya hona mrityu. Aajivika kamana bhi ek karm hai isiliye kisi bhi tarah ka vyavsaay, naukri, kaam dhandha sab dasham bhav se sambandhit hai. Dasham bhav directly karm ko control karta hai.
Karm ko 10th house me hi kyon rakha gaya hai? 10th house ko kundli ka sarvocch shikhar mana gaya hai. Karm karte rahna hi jivan hai isiliye itne important subject ko sarvocch shikhar par hi hona chahiye.
Shastr kahte hain ki agar lagn kamjor ho, pancham bhav jo ki poorv punya bhav hai, vo bhi peedit ho or navam bhav jo ki dharm bhaav hai vo bhi balheen ho – yaane ki teeno important shubh trikon bhav peedit hon to bhi – sirf dasham yaani 10th house strong ho, to bhi jatak lambi, safal or unnat jivan jeene me saksham ho jaata hai.
10th house yaani dasham bhav se kya dekhte hain?
Dasham bhav 10th house se mukhyatah profession, naukri, kaam dhandha aadi dekha jaata hai. Vyvsaay ke srot, aay ke srot, vyaavsaayik shreshthta, vyaavsaayik swatantrata, padonnati, sarkaari naukri aadi bhi 10th house ke kshetr me aate hain. Iske alaava naam, yash, maan sammaan, status, ijjat, shohrat ye sab dasham se dekha jata hai. Sarkaar, political power, pita ki ghar sampatti or dharmik punya karm, tyag ki pravritti aadi bhi isi bhav me aate hain.
Dasham karma bhav 10th house hamare kary karne ke tareeke bhi dikhata hai or saath hi baahri duniya hame kis tarah se dekhti hai, kis tarah se recognise karti hai, ye bhi dikhata hai. 10th house par kisi bhi tarah ka anukool ya pratikool prabhav vyavsaay me safalta ya asafalta, yash ya apyash, kaary kshetr me support ya opposition aadi ka soochak hai. 10th house jivan ke vo saal dikhata hai jab ham poori tarah se productive or poori tarah se career oriented hote hain. 10th house ke kaarak Surya, Budh, Brahaspati or Shani hain.
Also read: Navagraha Sun – सूर्य को आत्मकारक क्यों माना गया है ?
Or read: Navagraha Budha – बुद्धि और वाकशक्ति के कारक बुध
Or read this: Navagraha Jupiter – धर्म, ज्ञान एवं अध्यात्म का कारक ब्रहस्पति
Or maybe this: Navagraha Saturn – ज्योतिष में सबसे रहस्यमय ग्रह शनि सबसे उदार कैसे ?
Physically ye bhav pair ke nichle hisse ghutnon ko dikhata hai. Kaalpurush rashichakr me 10th house Makar rashi hai jiske swami Shani hain. Shani ko karmaadhipati ki upaadhi mili hui hai jo hamare samast karmon ke swami hokar sevabhav, kartavya nishtha or kaarmik dainik dincharya ko charitaarth karte hain. 10th house aakhiri arthkon (money mattered trine) or ek important kendra hai q ki ye hamaare vartmaan jivan ke karmon se deal karta hai.
Laabh bhav or 11th House
Ekadash jyotish bhav ya 11th house ko hi laabh bhav kaha jaata hai. 10th house kamaya hua dhan hai jo is janm me mehnat mashakkat karke kamaya jaata hai jabki ekadash bhav vo dhan hai jo bina mehnat kamaya jaata hai. vo dhan jo bina paseena bahaye easily kamaya jaye. Agar aapne ek rupaye ka kaam kiya or ek rupaye profit ke saath aapko do rupaye or mil gaye to ye do rupaye bina kaam kiye easy money hai jo isi bhav se dekha jaata hai. 11th house ko Upchay bhav bhi kahte hai, Upchay matlab vriddhi – growth, jo bhi yahan hoga vo badhega.
Ekadash jyotish bhav se kya dekhte hain?
Eleventh house dasham se doosra bhav hai or doosra bhav labh evam dhan ka bhav hota hai to ekadsh bhav dasham ke karmon ka laabh bhav banta hai. Is bha se aay, munafa, uplabdhi, abhilasha or aakaankshaon ki poorti, uparjan ke swaoop, puraskaron ki prapti, khitab or inaam, bade bhai ya bahan or durghatana (chathe bhav se chatha hone ke kaaran) aai dekhe jaate hain. Is bhav se pahly santan ki pati ya patni ko bhi dekha jaata hai (pancham bhav se sptam hone ki vajah se)
Ekadash bhav hamare karmon ke nihit fal se sambandh rakhta hai, vo karm fal chahe laabh roop me chahe haani roop me isi bhav se milta hai. samast jivan vyastata se kaam karne ke baad jab seva nivrutt hokar apne karmon ke fal ko enjoy kar paate hain ya nahi, vo kaalchakr bhi isi bhav se dekha jaata hai.
Sharirik roop se ye bhav pair ke teesre hisse pindli or jaangh ke agle hisse ko dikhata hai. Kaalpurush rashichakr me ye bhav Kumbh rashi hai jiske swami Shani hain. Ye bhav akhiri kaamkon (desire trine) hai. Kaamna acchi bhi ho skati hai or buri bhi, is tarah ekadash bhav adhyatmik vyakti ke liye vo aakhiri pralobhan ban jaati hai jise paar ker ke hi antim lakshya yaani nirvaan ya mukti milti hai. Brahaspati is bhav ke kaaak hain.
You may like to read: Kumbh Rashi in Hindi – शनि की दूसरी राशी कुम्भ दार्शनिक क्यों ?
Vyay Bhav or 12th house
Dasham bhav ya 10th house se karm kar ke, ekadash bhav me karmfal bhog kar dwadash bhav yani 12th house me sampoorn samapti hai. Lagn se ginte huey ye bhav aakhiri bhav hai jise vyay bhav – house of loss, moksh bhav – salvation house aadi se bhi jaana jaata hai. Kundli ka antim bhav hote huey ye jivan ke aakhiri padaav, final end, sab kucch samapt kar dene vaali aprihaarya mrityu ka bhav hai.
Dwadash jyotish bhav se kya dekhte hain?
Dwadash bhav se kisi bhi tarah ki haani – loss, acche ya bure karmon ke liye vyay, nivesh, videsh me hospital me bharti hona, jail ya kaaraagrah vaas, ashram vaas, sanyaas, ekaant vaas aadi dekha jaata hai. Final uddhaar, jivan saathi ka loss, durbhaagya, takraar or kisi bhi cheez ka khona bhi isi bhave se dekhte hain. Iske alava daivik gyaan, sex related shayya ke sukh, anidra, videsh gaman tatha videsh me jivanyaapan, gupt shatru, koi bhi guptkriya ya gupt gyaan, separation, viyog aadi bhi isi bhav me aate hain.
Sharirik roop se baanyi aankh or pair ka antim bhaag – charan is bhav se dekhe jaate hain. Kaalpurush rashichakr me ye bhav Meena rashi hai jiske swami Brahaspati hain. Ye bhav aakhiri kaam kon (salvation trine) hai or ek adhyaatmvaadi ke liye sabse mahatvpoorn bhav q ki ye mukti evam adhyatm se juda hai.
You may also like to read: Meena rashi in Hindi – मीन राशी के जातक का जल से क्या विशेष संबंघ है?
Join the Discussion!